raushnī le ke kahīñ chāñd kahīñ tāroñ se
ham bhī guzre the kabhī vaqt ke bāzāroñ se
zindagī tujh se tire ġham se to inkār nahīñ
haañ magar lazzat-e-ġham chhin ga.ī ġham-ḳhvāroñ se
azmat-e-rafta kī miTtī huī tasvīr haiñ ham
ham ko laTkā.iyē girtī huī dīvāroñ se
is se pahle ki chhiḌe zikr-e-vafā pyaar kī baat
mashvara kar lo zarā vaqt kī sarkāroñ se
chāñd jis vaqt utar aatā hai paimānoñ meñ
mai-kade baat kiyā karte haiñ mai-ḳhvāroñ se
ham ko be-dām bhī bik jaane kā fan aatā hai
baat kahne kī nahīñ hai ye ḳharīdāroñ se
vahī tanhā.ī kī bāteñ haiñ vahī zaat ke ġham
mujh ko shikva hai mire duur ke fankāroñ se
abr-e-rahmat ko liye apnī nazar meñ ‘ḳhusrav’
ham bhī to dasht se guzre kabhī kohsāroñ se