Raushni Ke Rup Mein KHushbu Mein Ya Rangon Mein Aa

raushnī ke ruup meñ ḳhushbū meñ yā rañgoñ meñ aa

maiñ tujhe pahchān lūñgā kitne hī chehroñ meñ aa

band āñkhoñ meñ bhī kyā hogī tirī be-pardagī

chhīn le mujh se ye nīndeñ yā mire ḳhvāboñ meñ aa

naach uThe raqqāsa-e-jāñ dhaḌkanoñ kī thaap par

saaz hāthoñ meñ uThā.e dil ke sannāToñ meñ aa

tū jo sharmātā hai mere sāmne aate hue

oḌh le merā tasavvur phir mirī bāhoñ meñ aa

kar diye haiñ zindagī ne muḳhtalif hisse mire

mujh se milnā hai agar baT kar ka.ī sāyoñ meñ aa

shahr meñ bhī ḳhaak uḌātī phir rahī haiñ vahshateñ

chhoḌ vīrāne ‘muzaffar’ ab galī-kūchoñ meñ aa

Leave a Comment