raushan hai faza shams koi hai na qamar hai
sha.ir huun mujhe arsh-e-mualla ki ḳhabar hai
dariya men hain girdab kinare pe bagule
aram ki surat na idhar hai na udhar hai
patte ki khaḌak se bhi larazta hai mira dil
saa.e se bhi ḳhatra mujhe dauran-e-safar hai
ik mauj bhi rakhti hai kinare ki tamanna
avara jo phirta huun ye mera hi jigar hai
ik ta.ir-e-mahsur asiri ka muḳhalif
uḌ sakta hai baazu men agar ek bhi par hai
maujon ko pata kya hai samundar ko ḳhabar kya
kis abr ki shoḳhi hai sadaf men jo guhar hai
kya ashk kisi TuTte taare pe baha.un
ḳhud apna hi anjam ‘falak’ pesh-e-nazar hai
Leave a Reply