raushan a.inon men jhuTe aks utaar gaya
kaisa ḳhvab tha meri saari umr guzar gaya
vaqt ki ankhon men dekhi kaali ghanghor ghaTa
lekin gaz bhar chhanv nahin thi jab main paar gaya
main kyuun arz-e-tamanna le kar us dar par ja.un
mauj-e-bad-e-saba ke pichhe kab gulzar gaya
is duniya men be-qadron se kis ne paaya faiz
us ke pyaar men jiina marna sab bekar gaya
ab sunsan gali men saaya tak maujud nahin
aadhi raat ke sannaTe men kaun pukar gaya
chehron ko pairon se kuchal kar aage baḌh jaana
jiit isi ko kahte hain to phir main haar gaya
Leave a Reply