jo main ne kah diya us se mukarne vaala nahin
ki asman zamin par utarne vaala nahin
main reza reza huun lekin nami abhi tak hai
havaen laakh chalen main bikharne vaala nahin
main janta huun vo achchhe dinon ka sathi hai
bure dinon men idhar se guzarne vaala nahin
hamare shahr men chehra nahin raha shayad
paḌe hain aina-ḳhane sanvarne vaala nahin
tire karam ka saza-var main huun ya dil hai
diya hai tu ne vo kaasa jo bharne vaala nahin
kahan ka ḳhvab musafir ki aankh men ‘azim’
ki bahte paani men manzar Thaharne vaala nahin
Leave a Reply