
Jameel Malik
raste men luT gaya hai to kya qafila to hai
yaaro na.e safar ka abhi hausla to hai
vamandgi se uTh nahin sakta to kya hua
manzil se ashna na sahi naqsh-e-pa to hai
hathon men haath le ke yahan se guzar chalen
qadmon men pul-sirat sahi rasta to hai
mange ki raushni to koi raushni nahin
is daur-e-musta.ar men apna diya to hai
ye kya zarur hai main kahun aur tu sune
jo mera haal hai vo tujhe bhi pata to hai
apni shikayaten na sahi tera gham sahi
iz.har-e-dastan ka koi silsila to hai
ham se koi ta.alluq-e-ḳhatir to hai use
vo yaar ba-vafa na sahi bevafa to hai
vo aa.e ya na aa.e mulaqat ho na ho
rang-e-sahar ke paas ḳhiram-e-saba to hai
paanv ki chaap se miri dhaḌkan hai ham-nava
is dasht-e-haul men koi naghma-sara to hai
suraj hamare ghar nahin aaya to kya hua
do-char anganon men ujala hua to hai
kanTa nikal bhi ja.ega jab vaqt aa.ega
kanTe ke dil men bhi koi kanTa chubha to hai
main reza reza uḌta phirunga hava ke saath
sadiyon men jhank kar bhi mujhe dekhna to hai
ashob-e-agahi ki shab-e-be-kanar men
tere liye ‘jamil’ koi sochta to hai

Leave a Reply