Rasta Sunsan Tha to muD Ke Dekha Kyun Nahin

rāsta sunsān thā to muḌ ke dekhā kyuuñ nahīñ

mujh ko tanhā dekh kar us ne pukārā kyuuñ nahīñ

dhuup kī āġhosh meñ leTā rahā maiñ umr bhar

mehrbāñ thā vo to misl-e-abr aayā kyuuñ nahīñ

ek panchhī der tak sāhil pe mañDlātā rahā

muztarib thā pyaas se lekin vo utrā kyuuñ nahīñ

qurb kī qaus-e-quzah kamre meñ bikhrī thī magar

raat bhar rañg-e-tamannā phir bhī nikhrā kyuuñ nahīñ

mujh ko patthar meñ badalte chāhe ḳhud ban jaate vo mom

ḳhvāhish-e-tifl-e-tamannā ko jagāyā kyuuñ nahīñ

us ko tanhā pā ke ‘aslam’ raat apne room meñ

qatra-e-ḳhūn-e-havas ā.ankhoñ meñ aayā kyuuñ nahīñ

Leave a Comment