ai sanam talib nahin vo khuld se gulzar ka
mubtala ko chahiye saaya tiri divar ka
mehman hai koi dam ka ya koi saaat ka vo
haal ab dekha nahin jaata tire bimar ka
khubsurat gauhar-e-khush-ab ki har ik ladi
silsila kaisa bandha hai ansuon ke taar ka
ghar kiya hai ai sanam us men tiri tasvir ne
band hona ghair-mumkin dida-e-didar ka
zindagani ka maza kya kya nahin dikhla gaya
is mire dil ke makan men chhup ke aana yaar ka
kijiye nazr-e-butan ab shauq se iman-o-dil
kya pahanna sahl samjha aap ne zunnar ka
khol kar pur-kaif ankhen dekhte hain vo idhar
lijiye vo khul gaya ab khana-e-khummar ka
dekhne ko taab kya ho talib-e-didar ka
nuur se shams-o-qamar men tere hi rukhsar ka
asiyon ke jurm ko vo hashr men ifsha kare
ai ‘jamila’ kaam ye hargiz nahin hushiyar ka
Leave a Reply