tamam shahr tha jangal sa iinT patthar ka
ghazab vo dekh ke aaya huun bad-e-sarsar ka
sada.en chashme ubalne ki aa rahi hain mujhe
kisi ne toḌ diya kya sukut patthar ka
mila hai ḳhak-nashini se ye maqam mujhe
zamin hai taḳht falak taaj hai mire sar ka
mujhe to koi bhi mausam uḌa nahin sakta
ki main to rang huun us ke adhure manzar ka
ravan kiya hai mujhe kin bulandiyon ki taraf
ki asman bhi lagta hai saaya shah-par ka
main apna ghar to jala ke safar pe nikla tha
ḳhayal dasht men aaya faqat tire dar ka
suna.i deti nahin hai ab apni aahaT bhi
ravan hua hai har ik samt shor andar ka
jab aftab sa mujh par hua tha raushan tu
mujhe hai yaad vo yaḳh-basta din december ka
hava-e-lams men ik aag bhi thi poshida
ki tabnak hua jism sang-e-marmar ka
zahe-nasib mohammad ka nam-leva huun
hai laakh shukr ḳhuda-e-buzurg-o-bartar ka
Leave a Reply