rasta khvab ke andar se nikalta hua tha
koi kya khvab ke andar se nikalta hua tha
vo mahak thi ki mujhe niind si aane lagi thi
phuul sa khvab ke andar se nikalta hua tha
ye kisi khvab ka ahval nahin hai ki main khvab
dekhta khvab ke andar se nikalta hua tha
khvab the jaise parindon ne pare bandhe hon
silsila khvab ke andar se nikalta hua tha
mujh ko duniya ke samajhne men zara der lagi
main zara khvab ke andar se nikalta hua tha
nazar uthti thi jidhar bhi miri manzar manzar
zaviya khvab ke andar se nikalta hua tha
vo nikalta hua tha khvab-kade se apne
khvab tha khvab ke andar se nikalta hua tha
ik sira ja ke pahunchta tha tiri yadon tak
dusra khvab ke andar se nikalta hua tha
kya bataun koi iman kahan laega
ki khuda khvab ke andar se nikalta hua tha
sub.h jab aankh khuli logon ki logon pe khula
jo bhi tha khvab ke andar se nikalta hua tha
Leave a Reply