ras men duuba hua lahrata badan kya kahna
karvaten leti hui subh-e-chaman kya kahna
nigah-e-naz men ye pichhle pahar rang-e-khumar
niind men duubi hui chandr-kiran kya kahna
bagh-e-jannat pe ghata jaise baras ke khul jaae
ye suhani tiri khushbu-e-badan kya kahna
thahri thahri si nigahon men ye vahshat ki kiran
chaunke chaunke se ye ahu-e-khutan kya kahna
ruup sangit ne dhara hai badan ka ye rachav
tujh pe lahlut hai be-sakhta-pan kya kahna
jaise lahrae koi shoala-kamar ki ye lachak
sar-ba-sar atish-e-sayyal badan kya kahna
jis tarah jalva-e-firdos havaon se chhine
pairahan men tire rangini-e-tan kya kahna
jalva-o-parde ka ye rang dam-e-nazzara
jis tarah adh-khule ghunghat men dulhan kya kahna
dam-e-taqrir khil uthte hain gulistan kya kya
yuun to ik ghuncha-e-nauras hai dahan kya kahna
dil ke aine men is tarah utarti hai nigah
jaise paani men lachak jaae kiran kya kahna
lahlahata hua ye qad ye lahakta joban
zulf so mahki hui raton ka ban kya kahna
tu mohabbat ka sitara to javani ka suhag
husn lau deta hai laal-e-yaman kya kahna
teri avaz savera tiri baten tadka
ankhen khul jaati hain ejaz-e-sukhan kya kahna
zulf-e-shab-gun ki chamak paikar-e-simin ki damak
dip-mala hai sar-e-gang-o-jaman kya kahna
nilgun shabnami kapdon men badan ki ye jot
jaise chhanti ho sitaron ki kiran kya kahna
Leave a Reply