idhar se bhī to havā-e-bahār guzrī hai
kuchh ek baar nahīñ baar baar guzrī hai
gilā nahīñ ye faqat arz-e-hāl hai ai dost
tire baġhair bahut be-qarār guzrī hai
vahī to merī hayāt-e-safar kī pūñjī hai
vo zindagī jo sar-e-rahguzār guzrī hai
qalam liye hue sochā kiye ki kyā likheñ
kuchh is tarah bhī shab-e-intizār guzrī hai
bhulā sakeñge na us ko qafas meñ ai sayyād
vo do ghaḌī jo sar-e-shāḳh-sār guzrī hai
kabhī kabhī to mirī bar-mahal ḳhamoshī bhī
unheñ fuġhāñ kī tarah nāgavār guzrī hai
huiiñ jo dil se mire bad-gumāniyāñ un ko
to shā.irī bhī mirī nāgavār guzrī hai
ḳhizāñ meñ bhī na kisī kī ḳhudā kare guzre
vo jis tarah mirī fasl-e-bahār guzrī hai
ubhar ga.ī hai kahīñ par ‘razā’ jo talḳhī-e-fikr
mire mizāj-e-ġhazal par vo baar guzrī hai