nuqush-e-rahguzar-e-shauq sab miTa dena
rahi hai jaan so use bhi kahin ganva dena
rah-e-hayat men har moḌ par hai ik uljhan
bichhaḌ na ja.un kahin dosto sada dena
ghubar-e-vaqt ne dhundla diye hain is ke nuqush
zara charagh-e-mohabbat ki lau baḌha dena
suna hai shahr men phir aa gaya hai vo qatil
mile to dosto mera pata bata dena
talab to karna miri umr-e-ra.egan ka hisab
hisab tul-e-shab-e-hijr ka chuka dena
Leave a Reply