nahin sunta nahin aata nahin bas mera chalta hai
nikal ai jaan tu hi vo nahin ghar se nikalta hai
jala huun atish-e-furqat se main ai shoala-ru yaan tak
charagh-e-khana mujh ko dekh kar har shaam jalta hai
nahin ye ashk-o-lakht-e-dil tiri ulfat ki daulat se
mira ye diida har dam laal aur gauhar ugalta hai
kisi ka saath sona yaad aata hai to rota huun
mire ashkon ki shiddat se sada gul-takiya galta hai
milata huun agar ankhen to vo dil ko churata hai
jo main dil ko talab karta huun vo ankhen badalta hai
mire pahlu-o-sina men buton ke rah gae khanjar
khuda ka fazl jis par ho to vo is tarah bahalta hai
sada hi meri qismat juun sada-e-halqa-e-dar hai
agar main ghar men jaata huun to vo bahar nikalta hai
vo bahr-e-husn shayad baagh men avega ai ‘ehsa۔n’
ki favvara khushi se aaj do do gaz uchhalta hai
Leave a Reply