jiye jaenge ham bhi lab pe dam jab tak nahin aata
hamen bhi dekhna hai nama-bar kab tak nahin aata
pahunchna tha jo arz-e-hal ko arsh-e-muazzam tak
kai shab se vahi naala mire lab tak nahin aata
dil apna vadi-e-ghurbat men shayad mar raha ja kar
na aane ki bhi ik miad hai kab tak nahin aata
vahan auron ke qisson ko bhi sun kar vo khatakte hain
yahan apni zaban par harf-e-matlab tak nahin aata
yahan tak sina-tangi se zaiif o zaar hai naala
chala jo subh ko vo ta-ba-lab shab tak nahin aata
jahan tamhid ki vo aur qisse chhed deta hai
kisi surat se zalim harf-e-matlab tak nahin aata
bula bhejen na jab tak ‘shad’ ko vo apne kuche men
ijara hai tira ai shauq haan tab tak nahin aata
Leave a Reply