lamha-dar-lamha guzarta hi chala jaata hai
vaqt ḳhushbu hai bikharta hi chala jaata hai
abginon ka shajar hai ki ye ehsas-e-vajud
jab bikharta hai bikharta hi chala jaata hai
dil ka ye shahr-e-sada aur ye hasin sannaTa
vadi-e-jan men utarta hi chala jaata hai
ab ye ashkon ke muraqqe hain ki samajhte hain nahin
naqsh patthar pe sanvarta hi chala jaata hai
ḳhuun ka rang hai us pe bhi shafaq ki surat
ḳhak-dar-ḳhak nikharta hi chala jaata hai
vapsi ka ye safar kab se hua tha aghaz
naqsh-e-pa jis ka ubharta hi chala jaata hai
jaise ‘tanvir’ ke honTon pe likhi hai tariḳh
zikr karta hai to karta hi chala jaata hai
Leave a Reply