maqsad-e-zindagi DhunDhta rah gaya
ik sira jab mila dusra rah gaya
imtihan ke liye aur kya rah gaya
ai ḳhuda bas tira aasra rah gaya
aise rakha gaya mujh ko tasvir men
zindagi bhar mira sar jhuka rah gaya
ḳhud bhi shamil raha DhunDne men use
umr bhar jis ko main DhunDhta rah gaya
vaqt ki dhuup men miT ga.e sab nishan
dil ke kaghaz pe bas naam ka rah gaya
munh chhupa.e hava dekhti rah ga.i
hausla jis men tha vo diya rah gaya
jis shajar se achanak parinde uḌe
vo shajar der tak kanpta rah gaya
jab musibat kabhi ḳhud pe ‘ahya’ paḌi
falsafa sab dhara ka dhara rah gaya
Leave a Reply