phir vo be-samt uḌanon ki kahani sun kar
so gaya peḌ parindon ki kahani sun kar
kya yahi ḳhvab ki ta.abir hua karti hai
uḌ ga.i niind bhi ankhon ki kahani sun kar
aable aise kabhi phuuT kar na ro.e the
jis tarah ro.e hain kanTon ki kahani sun kar
ham vo sahra ke musafir hain abhi tak jin ki
pyaas bujhti hai sarabon ki kahani sun kar
dard ki had se guzar kar to yahi hona tha
aankh pathra ga.i ashkon ki kahani sun kar
kashtiyan lauT to aa.i hain magar ik sahil
soch men Duuba hai maujon ki kahani sun kar
tum ne to sirf baharon men unhen dekha hai
tum bikhar jaoge phulon ki kahani sun kar
saare kirdar siyane the magar jhuTe the
log hairan the bachchon ki kahani sun kar
kitna asan tha bachpan men sulana ham ko
niind aa jaati thi pariyon ki kahani sun kar
un ko ma.alum tha chehron ki haqiqat kya hai
chup rahe aa.ine chehron ki kahani sun kar
Leave a Reply