haae laaya na koi qasid-e-dilbar kaghaz
ho gaya gham se hamara tan-e-laghar kaghaz
nama-e-yar ke likhne ko mujhe arzan hai
tol de gar koi sone ke barabar kaghaz
yuun lifafe men hamara hai kalam-e-shirin
jis tarah bandhte hain qand ke uupar kaghaz
na-tavani se nahin hai mujhe mumkin harakat
main huun harfon ki tarah mera hai bistar kaghaz
haal likkha hai jo main ne badan-e-laghar ka
le uda tinke ki manind kabutar kaghaz
main ne likha hai jo apna ye musibat-nama
mohr karne ko karun ashk se ab tar kaghaz
mere naame ko agar dast-e-hinai men vo le
varaq-e-gul se bhi ho rang men behtar kaghaz
hal-e-soz-e-gham-e-furqat karun tahrir to ho
kabk ki chonch qalam baal samundar kaghaz
is qadar misl-e-qalam main ne jabin-sai ki
ban gaya ghis ke dar-e-yar ka patthar kaghaz
yaar ne khat men jo likkha hai ki na aana hargiz
ho gaya mere liye sadd-e-sikandar kaghaz
saath naame ke gai jaan bhi su-e-janan
ho gaya tair-e-jan ke liye shahpar kaghaz
nahin tohfa khat-e-janan ke barabar koi
hai mujhe qand-o-zaqan se kahin behtar kaghaz
ja-e-jarrah ki ab nama-bar aa pahuncha hai
badle phahe ke rakhun dagh-e-jigar par kaghaz
kya main iflas men khat yaar ko likkhun ‘nasikh’
na qalam hai na siyahi na mayassar kaghaz
Leave a Reply