• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Nazm / Raqs Ki Raat

Raqs Ki Raat

noon-meem-rashid

raqs ki raat kisi ghamza-e-uryan ki kiran

is liye ban na saki rah-e-tamanna ki dalil

ki abhi duur kisi des men ik nanha charagh

jis se tanvir mire sina-e-gham-nak men hai

timtimata hai is andeshe men shayad ki sahar ho jaae

aur koi laut ke aa hi na sake!

raqs ki raat koi daur-e-tarab

ban na sakta tha sitaron ki khudai gardish?

mehvar-e-hal bhi ho, jada-e-ainda bhi

aur donon men vo paivastati-e-shauq bhi ho

jo kabhi sahil o dariya men na thii,

phir bhi haail rahe yuun buad-e-azim

lab hilen aur sukhan aghaz na ho

haath badh jaaen magar lamisa be-jan rahe?

tujhe maalum nahin,

ab bhi har subh dariche men se yuun jhankta huun

jaise tuute hue takhte se koi tiira nasib

sakht tufan men hasrat se ufuq ko dekhe:

kaash ubhar aae kahin se vo safina jo mujhe

is gham-e-marg-e-tah-e-ab se azad kare

raqs ki shab ki mulaqat se itna to hua

daman-e-zist se main aaj bhi vabasta huun,

lekin is takhta-e-nazuk se ye ummid kahan

ki ye chashm-o-lab-e-sahil ko kabhi chuum sake,

Filed Under: Nazm Tagged With: Top Rated Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Abhi Hayat Ka Mahaul Sazgar Kahan

Sufi

Ho Gai Aam Mohabbat Ki Kahani Kitni

Udasiyon Ka Samundar Hai Tishna-Lab Ab Bhi

Koi Lahja Koi Jumla Koi Chehra Nikal Aaya

Itni Shiddat Bhi Kya Pyas Mein Thi

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet