raqs-e-sharar kya ab ke vahshat-nak hua
jalte jalte sab kuchh jal kar khaak hua
sab ko apni apni padi thi puchhte kya
kaun vahan bach nikla kaun halak hua
mausam-e-gul se fasl-e-khizan ki duuri kya
aankh jhapakte saara qissa paak hua
kin rangon is surat ki tabir karun
khvab-nadi men ik shola pairak hua
nadan ko aina hi ayyar kare
khud men ho kar vo kaisa chalak hua
tariki ke raat azaab hi kya kam the
din nikla to suraj bhi saffak hua
dil ki ankhen khol ke raah chalo ‘mahfuz’
dekho kya kya aalam zer-e-khak hua
Leave a Reply