khud apne hi hathon ka likha kaat raha huun
le dekh le duniya main pata kaat raha huun
ye baat mujhe der se maalum hui hai
zindan hai ye duniya main saza kaat raha huun
duniya mire sajde ko ibadat na samajhna
peshani pe qismat ka likha kaat raha huun
ab aap ki marzi hai ise jo bhi samjhiye
lekin main ishare se hava kaat raha huun
tu ne jo saza di thi javani ke dinon men
main umr ki chaukhat pe khada kaat raha huun
Leave a Reply