• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Raqs-E-Nairangi Hai Nazzaron Ke Bich

Raqs-E-Nairangi Hai Nazzaron Ke Bich

raqs-e-nairangi hai nazzaron ke biich

ji raha huun sho.abada-karon ke biich

ek duniya ko hai luT jaane ka Dar

ek ham hain luT ga.e yaron ke biich

shikva-e-jaur-o-jafa kis se karun

pyaar se mahrum huun pyaron ke biich

mulk-o-millat qaum-o-maz.hab dosto

kya nahin bikta ḳharidaron ke biich

azmat-e-havva ka ik aur aa.ina

ho gaya nilam bazaron ke biich

asl rishta to zamin se hai mira

yaad aaya mujh ko sayyaron ke biich

shauq-e-ḳhud-ara.i ke hathon hua

ik hayula qaid divaron ke biich

ya-ilahi rahm karna aaj vo

aa ga.e chal ke talab-garon ke biich

mere dam se hi hui hai raushni

dasht-o-sahra aur kohsaron ke biich

ai bahar-e-abr-e-nau jaldi baras

jal rahe hain ḳhvab angaron ke biich

mujh men hai maujud parvaz-e-‘ḳhayal’

mo’atabar huun main bhi fankaron ke biich

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

poet

Meri Hasti Mein Meri Zist Mein Shamil Hona

poet

Pur-Kaif Anjuman Hai Meri Anjuman Abhi

Sufi

Lab-e-dariya Jo Pyase Mar Gae Hain

meer-hasan

Aahon Se Mere Ghar Mein Hawa Garm Rahegi

poet

Fikr Mein Muft Umr Khona Hai

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2022 · Urdu Poet