• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Nazm / Kaun Si Uljhan Ko Suljhate Hain Ham?

Kaun Si Uljhan Ko Suljhate Hain Ham?

noon-meem-rashid

lab bayaban, bose be-jan

kaun si uljhan ko suljhate hain ham?

jism ki ye kar-gahen

jin ka haizam aap ban jaate hain ham!

nim-shab aur shahr-e-khvab-aluda, ham-sae

ki jaise duzd-e-shab-gardan koii!

shaam se the hasraton ke banda-e-be-dam ham

pi rahe the jaam par har jaam ham

ye samajh kar jura-e-pinhan koi

shayad akhir ibtida-e-raz ka iima bane!

matlab asan harf be-maani

tabassum ke hisabi zaviye

matn ke sab hashiye

jin se aish-kham ke naqsh-e-riya bante rahe!

aur akhir buad jismon men sar-e-mu bhi na tha

jab dilon ke darmiyan haail the sangin fasle

qurb-e-chashm-o-gosh se ham kaun si uljhan ko suljhate rahe!

kaun si uljhan ko suljhate hain ham?

shaam ko jab apni gham-gahon se duzdana nikal aate hain ham?

ya zaval-e-umr ka dev-e-subuk-pa ru-ba-ru

ya ana ke dast o pa ko vusaton ki aarzu

kaun si uljhan ko suljhate hain ham?

Which Mystery do We Unravel ?

Filed Under: Nazm Tagged With: Top Rated Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

poet

Jis Ko Chaha Tha Na Paya Jo Na Chaha Tha Mila

Band Aankhen Karun Aur KHwab Tumhaare Dekhun

meer-hasan

Hum Na Hanste Hain Aur Na Rote Hain

Idrak Hi Muhaal Hai KHwab-O-KHayal Ka

poet

Kis Ke Matam Mein Ro Rahi Hai Raat

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet