paan ban ban ke miri jaan kahan jaate hain
ye mire qatl ke saman kahan jaate hain
sar agar jaae to jaae magar ai khanjar-e-yar
sar se apne tire ehsan kahan jaate hain
baad marne ke bhi mitti miri barbad rahi
miri taqdir ke nuqsan kahan jaate hain
haal khulta nahin in khvesh-faramoshon ka
roz ke roz ye mehman kahan jaate hain
kis ki ashufta-mizaji ka khayal aaya hai
aap hairan pareshan kahan jaate hain
aaj kis munh se miri dil-shikani hoti hai
aaj vo aap ke mehman kahan jaate hain
ai ‘zahir’ ab ye khula haal badi duur hain aap
aap jaate hain jahan dhyan kahan jaate hain
Leave a Reply