shahab-chehra koi gum-shuda sitara koi
hua tulua ufuq par mire dobara koi
umid-varon pe khulta nahin vo bab-e-visal
aur us ke shahr se karta nahin kinara koi
magar giraft men aata nahin badan us ka
ḳhayal DhunDhta rahta hai isti.ara koi
kahan se aate hain ye ghar ujalte hue lafz
chhupa hai kya miri miTTi men mah-para koi
bas apne dil ki sada par nikal chalen is baar
ki sab ko ghaib se milta nahin ishara koi
guman na kar ki hua ḳhatm kar-e-dil-zadagan
ajab nahin ki ho is raakh men sharara koi
agar nasib na ho us qamar ki ham-safri
to kyuun na ḳhak-e-guzar par kare guzara koi
Leave a Reply