ḳhizan men oḌh ke qaul-o-qarar ka mausam
bahar DhunD rahi hai bahar ka mausam
vo mere saath nahin hain to dil ke sahra par
samay bikher raha hai bahar ka mausam
fareb ḳhud ko na dega to aur kya dega
na raas aa.e jise e’tibar ka mausam
tumhare qurb ki maddham si ik hararat se
hai Dher raakh tale intizar ka mausam
Leave a Reply