• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Tere Honton Pe Saja Hai Kya Hai

Tere Honton Pe Saja Hai Kya Hai

Sufi

tere honton pe saja hai kya hai

tera har rang dua hai kya hai

tere angan men luta hai kya hai

vo bhi barish men khula hai kya hai

rang chadhte hain utar jaate hain

mausam-e-hijr pata hai kya hai

log alfaz badal lete hain

aur chehron pe likha hai kya hai

apni barbad nigahi ke sitam

ek dar aur khula hai kya hai

mere hathon ki lakiron pe na ja

tu ne khud hi to likha hai kya hai

khud se milta huun bichhad jaata huun

khvab zanjir hua hai kya hai

naddiyan khushk hui jaati hain

koi us paar khada hai kya hai

meri ankhon se qayamat barse

jo bhi kuchh tu ne diya hai kya hai

apne vaqton ki zaban bolta huun

phir ye bazar laga hai kya hai

meri basti men udasi kaisi

shahar ki samt chala hai kya hai

kitni khush-posh faza hai ‘khurshid’

teri ankhon ka nasha hai kya hai

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

aaKHir-E-Shab Bhi Kisi KHwab Ki Ummid Mein Hun

Hazaron Sal Chalne Ki Saza Hai

Kar Gaya Mere Dil-O-Jaan Ko Moattar Koi

Azm-E-Manzil-Rasi Ki Baat Karen

Is Bar Mile Hain Gham Kuchh Aur Tarah Se Bhi

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet