• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Dil Buton Se Na Lagana Hargiz

Dil Buton Se Na Lagana Hargiz

poet

dil buton se na lagana hargiz

un ke phande men na aana hargiz

dil tujhe apni hai gar jaan aziiz

ku-e-qatil men na jaana hargiz

maang baiTha vo to dil dene men

nahin banne ka bahana hargiz

andaliban-e-chaman ko sayyad

fasl-e-gul men na satana hargiz

shikva-e-yar zaban par apni

dil ḳhabar-dar na laana hargiz

hadaf-e-tir nigah-e-qatil

murgh-e-dil ko na banana hargiz

is se vabasta hain dil lakhon ke

zulf men khincho na shana hargiz

rahne deta nahin insan ko yaan

ik vatire pe zamana hargiz

inqalab is men hai dam dam ai dil

is ka afsos na khana hargiz

gar ḳhuda de tujhe taufiq ai ‘aish’

dil kisi ka na dukhana hargiz

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Jaan De Di Rahraw-E-Manzil Ne Manzil Ke Qarib

geetanjali-rai

Kiraya-dar

afzal-ahmad-syed

dua Ki Rakh Pe Marmar Ka Itr-dan Us Ka

adeem-hashmi

Jo diya Tu Ne Hamein Wo Surat-e-Zar Rakh Liya

Zauq-E-Sajda Ek Naqsh-E-Kaamran Banta Gaya

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet