taab kho baiTha har ik jauhar-e-ḳhaki mera
jaane kis rang men hoga gul-e-ḳhubi mera
zabt-e-girya men hai mashshaq tamanna tu bhi
qatra qatra sahi daman to bhigoti mera
chak-e-vahsht se utara to karam bhi farma
yunhi kab se hai dhara kuza-e-hasti mera
teri ḳhushbu tira paikar hai mire sheron men
jaan yunhi nahin ye tarz-e-misali mera
meri duniya isi duniya men kahin rahti hai
varna ye duniya kahan husn-e-talab thi mera
Leave a Reply