hisar-e-gard men tanha khaḌa huun
main apni ḳhvahishon ka silsila huun
ḳhala ki vus.aton ko napta huun
ghubar-e-rahguzar uḌta hua huun
vo itna paas hai mere ki us ko
main ankhen band karke dekhta huun
hazaron miil ka lamba safar hai
main lamhon men jise tai kar raha huun
yaqin aa.e na aa.e tum ko lekin
main apni khoj men ghar se chala huun
mire baare men vo bhi sochta hai
ḳhuda ka shukr main bhi ji raha huun
ye kis ki yaad ne ki zau-fishani
safar men jugnuon ko dekhta huun
koi shadab mausam aa.e mujh tak
main sukha peḌ raste par khaḌa huun
mahakte phuul ki ḳhvahish men ‘ḳhalid’
main tanha.i ka mausam jhelta huun
Leave a Reply