ranj-o-rahat vasl-o-furqat hosh-o-vahshat kya nahin
kaun kahta hai ki rahne ki jagah duniya nahin
ahl-e-gham tum ko mubarak ye fana amadgi
lekin isar-e-mohabbat jaan de dena nahin
husn sar-ta-pa tamanna ishq sar-ta-sar ghurur
is ka andaza niyaz-o-naz se hota nahin
ek halat par zamane men na guzri ishq ki
dard ki duniya bhi ab vo dard ki duniya nahin
jis ke shoalon se thi kal tak garmi-e-bazm-e-hayat
aaj is khakistar-e-dil se dhuan uthta nahin
main adam andar adam main huun jahan andar jahan
ek hi duniya ho meri ai ‘firaq’ aisa nahin
Leave a Reply