ranj-e-na-asudgi karb-e-hunar dekhega kaun
naqsh-e-faryadi hai kis ka dida-var dekhega kaun
jumbish-e-lab hi se khul ja.ega ma.ani ka bharam
us ke harf-na-shanida ka asar dekhega kaun
apni duniya tak rakho mahdud parvazen abhi
nilgun pahna.iyon men bal-o-par dekhega kaun
apne kamre ka koi gul-dan ḳhali kyuun rahe
phuul kaghaz ke saja lo sungh kar dekhega kaun
ik khilauna toḌ kar chalti bani pagal hava
ab ye reza reza paikar joḌ kar dekhega kaun
kitni tahzibon ka madfan hai hamari zindagi
jagmaga.e shahr men lekin khanDar dekhega kaun
Leave a Reply