• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Rakkho KHidmat Mein Mujhse Kaam to Lo

Rakkho KHidmat Mein Mujhse Kaam to Lo

poet

rakkho ḳhidmat men mujh se kaam to lo

baat karte nahin salam to lo

mai piyo tum surur ho mujh ko

haath se mere ek jaam to lo

baat tum ne nahin ki ghair se kal

sar pe allah ka kalam to lo

banda hota huun aap ka be-dam

hove darkar agar ghulam to lo

naz-o-andaz husn-o-ḳhubi men

kaun hai tum sa us ka naam to lo

aap farma.en jo baja la.un

kabhi mujh se bhi koi kaam to lo

munh se aane lagegi itr ki bu

nam-e-gesu-e-mushk-e-fam to lo

pahle kar lo rasa.i zulf talak

silsile ko junun ke thaam to lo

phir taḌap lijiyo giraftaro

dam bhar aram zer-e-dam to lo

mai piyo jo nahin pilate ho

mujh ko dete nahin ho jaam to lo

naz-bardar dusra mujh sa

kaun ashiq hai us ka naam to lo

‘rind’ hazir hain shisha-o-saghar

mai na samjho agar haram to lo

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Ek Qatra Na Kahin KHun Ka Baha Mere Baad

Aankh paDte Hi Na Tha Nam Shakebai Ka

Kanwal Hon Aab Mein KHush Gul Saba Mein Shad Rahen

surKHiyan Kyun DhunDh Kar Laun Fasane Ke Liye

Aarzuen Sab KHak Huin

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet