saki tuj zulf hai jivan ke akhiz
dasan tere ahen ratnan ke akhiz
tiri nainan the panche hain mantar sab
tire nazan hain sab suthran ke akhiz
sahe tuj siis paranchal saheli
sahe sab ashiq-e-dar vaan ke akhiz
tiri putliyan bhalaiyan hain jagat kuun
nayan do mast hain mastan ke akhiz
nakhan mere hain tuj joban ke mushtaq
adhar mere tire bosiyan ke akhiz
ali nanvan o kahiya yu ghazal ‘qutub’
ali nanvan hain sab kaman ke akhiz
Leave a Reply