• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Rakkha Nahin Ghurbat Ne Kisi Ek Ka Bharam Bhi

Rakkha Nahin Ghurbat Ne Kisi Ek Ka Bharam Bhi

rakkha nahin ghurbat ne kisi ik ka bharam bhi

mai-ḳhana bhi viran hai kalisa bhi haram bhi

luuTa hai zamane ne mira besh bhi kam bhi

chhina tha tujhe chhin liya hai tira gham bhi

be-ab hua ab to mira dida-e-nam bhi

ai gardish-e-alam tu kisi moḌ pe tham bhi

sun ai but-e-jan-dar but-e-simbar ai sun

toḌe na ga.e ham se to patthar ke sanam bhi

main vasl ki bhi kar na saka shiddat-e-gham kam

aaya na kisi kaam tire hijr ka sam bhi

divar-e-sukun baiTh ga.i shiddat-e-nam se

barsa hai mire ghar pe agar abr-e-karam bhi

tanha.i na puchh apni ki saath ahl-e-junun ke

chalte hain faqat chand qadam raah ke ḳham bhi

sahra-e-gham-e-jan men bagulon se bacha kaun

miT ja.enge ai dost tire naqsh-e-qadam bhi

sunte hain chamakta hai vo chand ab bhi sar-e-bam

hasrat hai ki bas ek nazar dekh len ham bhi

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

aftab-hussain

Karta Kuchh Aur Hai Wo dikhata Kuchh Aur Hai

Main Kahan Karwan-E-Shauq Kahan

Wo Ek Lamha Ki Mushkil Se kaTne Wala Tha

poet

dil Parastar Hain Sab Khalq Ke Murat Ki Teri

Jo KHas-E-Badan Tha Jala Bahut Kai Nikhaton Ki Talash Mein

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet