rakha sar par jo aaya yaar ka khat
gaya sab dard-e-sar kiya tha dava khat
diya khat aur huun qasid ke pichhe
hua tasir men kya kahruba khat
vahin qasid ke munh par phenk maara
diya qasid ne jab ja kar mira khat
hai lazim haal khairiyyat ka likhna
kabhi to bhej o na-ashna khat
raha mamnun kaghaz-saz ka main
suna dega use sab majra khat
pata milta nahin us be-nishan ka
liye phirta hai qasid ja-ba-ja khat
rahi hasrat ye saari umr ‘bahram’
na mujh ko yaar ne hargiz likha khat
Leave a Reply