ḳhvab ka ham-safar raha huun main
muddaton dar-ba-dar raha huun main
vo yahin aas paas hai mere
us ko mahsus kar raha huun main
us ko pahchanta huun har ruḳh se
us ke nazdik-tar raha huun main
tai hua ye bhi marhala aḳhir
tirgi se ubhar raha huun main
rut badalne lagi hai phir ‘anjum’
patti patti bikhar raha huun main
Leave a Reply