lakir khinchna divar mat bana lena
tum iḳhtilaf ko azar mat bana lena
ba-nam-e-dad-e-suḳhan ye jo shor barpa hai
ise kalam ka me.aar mat bana lena
kahani sunte raho shauq se magar ḳhud ko
kisi kahani ka kirdar mat bana lena
tumhare ashkon ki goya.i se main Darta huun
unhen vasil-e-iz.har mat bana lena
mohabbaton ke safar men yaqin to lazim hai
kisi ke va.ade ko patvar mat bana lena
visal se hi nikalte hain hijr ke mausam
gulon ki shaḳh ko talvar mat bana lena
haveliyon men jo baaqi sharafaten hain abhi
ab un ko zinat-e-bazar mat bana lena
ye shohraton ki talab Thiik hai magar ‘tariq’
tum apni zaat ko aḳhbar mat bana lena
Leave a Reply