zulf-e-dauran hai kahan saya-fagan mere ba.ad
muntazir der se hain dar-o-rasan mere ba.ad
kis ko dil-bastagi-e-gham ka saliqa saunpun
sochta huun ki na mar jaa.e ye fan mere ba.ad
main zamane se uTha rasm-e-vafa ki surat
phirna ubhri kisi mathe pe shikan mere ba.ad
mere dam tak to zar-e-gul ki bhi qimat na uThi
ḳhaak ke mol ga.i arz-e-chaman mere ba.ad
hosh-mandi ki saza de na kisi ko yarab
dam-ba-ḳhud pahle se hain ahl-e-vatan mere ba.ad
bazm-e-hasti hai ki ik bolta sannaTa hai
aa ga.i vaqt ki sanson men ghuTan mere ba.ad
raushni-saz-zamana huun to ye aalam hai
dekhiye kya ho zamane ka chalan mere ba.ad
mil hi ja.ega koi zarf-o-nazar ka maara
dil-shikasta na rahen ranj-o-mehan mere ba.ad
vaqt ne zehniyaten kitni badal Daali hain
bijliyan tak hain hava-ḳhvah-e-chaman mere ba.ad
mujh pe hansta hai zamana to koi baat nahin
rang la.egi mire dil ki jalan mere ba.ad
maut bar-haq hai magar ‘shauq’ ye manzur nahin
un ke chehre pe ho sadme ki thakan mere ba.ad
Leave a Reply