bigDi Hui Jo Bazm-E-suKHan Thi Sanbhal Gai

bigḌī huī jo bazm-e-suḳhan thī sañbhal ga.ī

kyā baat thī jo merī zabāñ se nikal ga.ī

kyoñ ho ga.ī haiñ donoñ kī rāheñ alag alag

maiñ vo nahīñ rahā ki ye duniyā badal ga.ī

va.ada vo apne aane kā puurā na kar sakā

shāyad shab-e-firāq koī chaal chal ga.ī

ye merī tarbiyat kā karishma na ho koī

aulād merī mujh se bhī aage nikal ga.ī

thā jo yaqīñ nuzūl-e-balā kā nujūmī ko

mujh ko yaqīñ hai ‘shauq’ duā se vo Tal ga.ī

Leave a Comment