jo rabt meri tiri nabz Dubne tak hai
mubalagha bhi karen to nibahane tak hai
miri hi arzu-e-dil ka sho.abada hai tu
tira vajud faqat sehr TuTne tak hai
irade kitni hi umron ke bandh rakkhe hain
magar nigah ki had apne samne tak hai
tire mizaj ki tabdiliyon se vaqif huun
ye mehrbani mire honT kholne tak hai
girah-kusha kabhi sirr-e-jamal tujh pe bhi ho
tiri rasa.i magar ghar ke aa.ine tak hai
palaT ke aa.e na aa.e koi sune na sune
sada ka kaam fazaon men gunjte tak hai
vo ek baat jo afsana ban ga.i ‘yasir’
kisi ka husn sarapa sarahne tak hai
Leave a Reply