josh-e-girya ye dam-e-rukhsat-e-yar aae nazar
abr-e-joshan ka bandha jaise ki taar aae nazar
rang-e-gulzar jahan garche hazar aae nazar
chain par dil ko kahan taaki na yaar aae nazar
apna jab ku-e-tasavvur men guzar aae nazar
jis taraf dekhen udhar surat-e-yar aae nazar
huun main kis ghairat-e-gulzar ka zakhmi ki mire
har bun-e-mu pe gul-e-zakhm hazar aae nazar
bin padhe phaad ke khat rakh de jo vo rauzan men
juun qalam siina mira kyuun na figar aae nazar
ham-sukhan jis se na ho sakiye phir us shokh se aah!
aur kuchh baat ka kab dar-o-madar aae nazar
ho jahan jumbish-e-lab ka bhi na yaara ai vaae
munh kahan ye ki jo vaan bos-o-kanar aae nazar
ham dil-afrokhta vaan juun sharar-e-sang hain aah
na jahan paik-e-saba ka bhi guzar aae nazar
sar-bulandi jinhen de charkh na de chain unhen
ki ba-gardish mah-o-khur lail-o-nahar aae nazar
jab ki har roz katin vaade pe ghadiyan ginte
kyuun na har din hamen phir roz-e-shumar aae nazar
us ke mahram pe bhabuka si jo dekhun chidiya
kyuun na juun tair-e-simab qarar aae nazar
ho ba-sad-rang shagufta lab-e-dariya pe vo baagh
har ravish jis men ki bas lutf-e-hazar aae nazar
chaar su naghma-sarai men hon murghan-e-chaman
shakh-dar-shakh ajaib gul-o-bar aae nazar
mauj-e-dariya idhar atkheli ki chalen dikhlae
aur udhar raqs-kunan bad-e-bahar aae nazar
hove atraf se ghanghor ghata ghir aai
kaund bijli ki ho aur padti phuvar aae nazar
ik taraf mor munderon pe karen kya kya shor
ik taraf abr men baglon ki qatar aae nazar
gardish-e-jam ho juun gardish-e-chashman-e-butan
haath men mutrib-e-sar-khush ke sitar aae nazar
lab-ba-lab sina-ba-sina jise chahen vo ho
gulshan-e-zist ki tab ham ko bahar aae nazar
ashiqana ghazal ab padh koi ‘jurat’ tah-dar
maani-e-taza bhi ta yaron ko yaar aae nazar
Leave a Reply