rakhta huun talai rang aur ashk bhi moti hai
munim ke bhi ghar akhir daulat yahi hoti hai
sumbul ki pareshani kab kam thi ki phir tis par
shabnam jo sarishk us ke mizhgan men piroti hai
aali se main ja puchha kya vaqia yaan guzra
gul chak-gareban hai shabnam hai ki roti hai
dam sard hi vo bhar kar ye mujh se laga kahne
har subh gulistan ki halat yahi hoti hai
‘ishq’ apni fana ka khauf sarkash ke nahin dil men
kab shama ye hai raushan jo subh bhi hoti hai