chali aati hai ab to har kahin bazar ki rakhi
sunahri sabz resham zard aur gulnar ki rakhi
bani hai go ki nadir khuub har sardar ki rakhi
salonon men ajab rangin hai us dildar ki rakhi
na pahunche ek gul ko yaar jis gulzar ki rakhi
ayaan hai ab to rakhi bhi chaman bhi gul bhi shabnam bhi
jhamak jaata hai moti aur jhalak jaata hai resham bhi
tamasha hai aha ha-ha ghanimat hai ye aalam bhi
uthana haath pyare vah-va tuk dekh len ham bhi
tumhari motiyon ki aur zari ke taar ki rakhi
machi hai har taraf kya kya salonon ki bahar ab to
har ik gul-ru phire hai rakhi bandhe haath men khush ho
havas jo dil men guzre hai kahun kya aah main tum ko
yahi aata hai ji men ban ke bamhan, aaj to yaaro
main apne haath se pyare ke bandhun pyaar ki rakhi
hui hai zeb-o-zinat aur khuban ko to rakhi se
va-lekin tum se ai jaan aur kuchh rakhi ke gul phule
divani bulbulen hon dekh gul chunne lagin tinke
tumhare haath ne mehndi ne angushton ne nakhun ne
gulistan ki chaman ki baagh ki gulzar ki rakhi
ada se haath uthte hain gul-e-rakhi jo hilte hain
kaleje dekhne valon ke kya kya aah chhilte hain
kahan nazuk ye pahunche aur kahan ye rang milte hain
chaman men shakh par kab is tarah ke phuul khilte hain
jo kuchh khubi men hai us shokh-e-gul-rukhsar ki rakhi
phiren hain rakhiyan bandhe jo har dam husn ke taare
to un ki rakhiyon ko dekh ai jaan chaav ke maare
pahan zunnar aur qashqa laga mathe upar baare
‘nazir’ aaya hai bamhan ban ke rakhi bandhne pyare
bandha lo us se tum hans kar ab is tyauhar ki rakhi
Leave a Reply