rakhe hain aap haath jahan ab vahan nahin
ham kya bata.en dard kahan hai kahan nahin
dil le ga.e vo dard-e-mohabbat kahan rahe
ibrat ka hai mahal ki makin hai makan nahin
a barq kis ke vaste betab aaj hai
is baagh men mira to kahin ashiyan nahin
qatil samajh ke aaj zara tegh-e-naz khinch
ye imtihan tira hai mira imtihan nahin
chhuTenge umr bhar tiri zulfon ke kya asiir
kaaTe kaTen kisi ke ye vo beḌiyan nahin
lo ik jahan unhin ka taraf-dar ho gaya
mahshar men aaj koi mira ham-zaban nahin
duniya men hashr uThe bhi to kya dekh kar uThe
mire mazar ka to kahin bhi nishan nahin
tum kya badal ga.e zamana badal gaya
ab vo zamin nahin hai vo ab asman nahin
maskan zamin sher men ‘safdar’ bana liya
rahte hain us zamin pe jahan asman nahin
Leave a Reply