jab tan na raha mera huun vasil-e-janana
divar ke girne se ham-saya ho ham-khana
aine men dekh aa kar munh apna ai janana
ta-qadr miri jaane kaash apna ho divana
us zulf men kai din se betabi-e-dil gum hai
zanjir jhanakti naiin kya mar chuka divana
bijli mire naale ki juun chamke to muund ankhen
ai ashna aage tu itna na tha begana
dil sharm-e-mohabbat se tar hai tu na pher ankhen
kyunkar pise chakki men bhiga hua hai daana
‘uzlat’ gaya ankhon se is vaste ji us ka
hai shama ki chashm-e-tar turbat-gah-e-parvana
Leave a Reply