• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Rakhe Hai Rang Kuchh Saqi Sharab-E-Nab Aatish Ka

Rakhe Hai Rang Kuchh Saqi Sharab-E-Nab Aatish Ka

poet

rakhe hai rang kuchh saaqi sharab-e-nab atish ka

muqattar kya kiya le kar gul-e-shadab atish ka

mire ye garm aansu ponchh mat dast-e-nigarin se

ki un ankhon se rahta hai ravan sailab atish ka

tah-e-mizhgan nihan rakhte hain ham lakht-e-dil-e-sozan

yahan khashak men rakkha hai akhgar daab atish ka

nigah-e-garm se us ki dil-e-betab ru-kash hai

harif akhir hua ye para-e-simab atish ka

jo sail-e-ashk o ah-e-garm ko tuk dijiye rukhsat

nishan dariya ka gum ho naam ho nayab atish ka

shakeb o taab o hosh o sabr soz-e-gham se sab sulga

hua toama gharaz apna tamam asbab atish ka

araq us shola-gun aariz pe kya suna-e-ilahi hai

nahin dekha hai ham ne rabt baham aab atish ka

Filed Under: Ghazal Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Zindagi Ke Bahut Masail Hain

kaTta Hai Waqt Kaise Bata Dun Janab Ka

afzal-khan

Wo Jo Ek Shakhs Wahan Hai Wo Yahan Kaise Ho

shahnaz-nabi

insaf

ali-sardar-jafri

Pairahan-E-Sharar

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet