tujh ko gila hai tera muqaddar nahin hua
main apne-ap ko bhi mayassar nahin hua
hona na hona main ne rakha apne haath men
dam-bhar jahan men ho gaya dam-bhar nahin hua
pahle to qil-o-qal men hota nahin tha main
phir yuun hua ki harf se bahar nahin hua
ankhon ko us ka dekhna manzur bhi nahin
nazir hi jo raha kabhi manzar nahin hua
socha ki apne jism se bahar bhi ho rahun
main uTh ke ḳhaak se bhi hua par nahin hua
aḳhir mujhe sarab ne sairab kar diya
main jo samundaron se kabhi tar nahin hua
hota raha vahi jo nahin hona chahiye
hona jo chahiye tha vo aksar nahin hua
ghuma to apne aap talak aa ke ruk gaya
main da.era to ho gaya chakkar nahin hua
sab ko dikha.i de gaya vo husn-e-be-zuhur
sab par ye lutf ho gaya mujh par nahin hua
main kah sakun ki dahr men vo bhi hai main bhi huun
itna yaqin mujh ko mayassar nahin hua
dastak bhi de ke dekh li sar bhi paTaḳh liya
divar hi raha vo kabhi dar nahin hua
gharat-gari ko dekh ke ahl-e-yaqin ki
main dekhta huun us ko jo kafar nahin hua
pahli nazar ko us ne bhi dekha na ghaur se
ham se bhi iltifat mukarrar nahin hua
patthar-mizaj hai to miyan sang-e-mil ban
jo raste men ho ke bhi Thokar nahin hua
ahista-rau vo aaj bhi apni ravish pe hai
sab yaar tez ho ga.e ‘nayyar’ nahin hua
Leave a Reply