rahi hai parda-e-ulfat men maslahat kya kya
adavaton men hui hai mufahamat kya kya
mire aziiz vatan ki faza ne bhar di hai
miri sarisht ke andar munafiqat kya kya
kabhi usuul ki ghairat kabhi ziyan ka saval
dimagh-o-dil men rahi hai mushavrat kya kya
sada-e-dil ko tah-e-dil men qaid kar ke rakha
raha hai tauq-e-gulu shauq-e-afiyat kya kya
mahak thami jo lahu ki to chaunk kar ham ne
hava se puchhi hai zaḳhmon ki ḳhairiyat kya kya
bahut aziiz hain ankhon ki putliyan lekin
mile hain dukh bhi mujhe un ki ma.arifat kya kya
bahut dinon men kal a.ina samne pa kar
hui hai umr-e-guzishta ki ta.aziyat kya kya
aTa hua ba-sar-o-chehra sim-o-zar ka ghubar
mili hai lasha-e-afkar ki diyat kya kya
nihan hai tarkash-e-imkan men navak-e-taqdir
mudam sar pe sitare hain an-ginat kya kya
Leave a Reply